Friday, 14 December 2012

Apnaaaaaa !!!!

Apnaaaaaa !!!!


anjaan nagri me u hi ek shaks ka milna,
chand palo me hi uska apna ban jana.

Kya ajib reewaj hai duniya ke,
apne bann paraye aa jaate hai karib dil ke.

kuch u hi mere saath hua,
ek udaas shaam me ek paraya mera apna hua.

kuch hi palo ki baato ne ek bandhan baandh diya,
kayi janmo se jaante ho, kuch aisa sama bana diya.


Ek pyara sa rishta mene paaya hai,
Ehsaas sang preet ka sharmaya hai.

waada hai.. is rishte ko sambhal ke rakhna hai,
dua hai.. is apne ko dil k or karib lana hai.

1 comment: