Bete Ki Hakikat
Y Jab tu paida hua kitna majbur tha
Ye jahan teri soch se bhi dur tha...
Haath paav bhi tab tere apne na the
Teri ankho me duniya k sapne na the...
Tujh ko aata sirf rona hi tha
Dudh pi k kaam tera sona hi tha...
Tujh ko chalna sikhaya tha maa ne teri
Tujh ko dil me basaya tha maa ne teri...
Maa k saaye me parwaan chadne laga
Waqt k sath kad tera badne laga...
Dhire dhire tu jawan ho gaya
Tujh pe saara jahan meharban ho gaya ...
Zor-e- bazoo pe tu baat karne laga
Khud hi sajne laga khud sanwarne laga...
Ek din ek ladki tujhe bhaa gayi
Ban k dulhan wo tere ghar agayi...
Ab farz se tu dur hone laga
Beej nafrat ka khud hi tu bone laga...
Phir tu maa baap ko bhi bhulne laga
Teer bato k teer tu chalane laga...
Baat be baat un se tu ladne laga
Kayda ek naya tu phir padne laga...
Yaad kar tujh se maa ne kaha ek din
Ab humara guzara nahi tere bin...
Sun k ye baat tu taish me aa gaya
Tera gussa teri akal ko kha gaya...
Josh me aake tu ne ye maa se kaha
Me tha khamosh sab dekhta hi raha...
Aaj kehta hu peecha mera chod do
Jo hai rishta mera tum se wo tod do...
Jao ja k kahi kaam dhanda karo
Log marte hai tum bhi kahi ja maro...
Baith kar aahe bharti thi maa raat bhar
Inki aaho ka tujh par hua na asar...
Ek din baap tera chala ruth kar
Kaise bikhri thi phir teri maa tut kar...
Phir wo bhi bas kal ko bhulati rahi
Zindagi tujko har roz satati rahi... !!!